Vinod Pande

Vinod Pande is an Indian film director, actor and producer. Whether films or TV, his creations have stood out for being daringly different. Pande was the trendsetter in late 1970s and early 80s with films like Ek Baar Phir , Chaloo Movie (2013), Red Swastik (2007), Sins (2005) and as an actor Sach (1990), Ek Naya Rishta (1988), Yeh Nazdeekiyan (1982).

He launched four TV shows in India amongst which Air Hostess and Reporter was the most popular moreover he has been the chairman of the iconic Oscar Awards selection committee.

 

About Rekha:- Apni London ki Hawai Yatra ke dauran maine ek film dekhi thi, wahi se mujhe ek original aur emotional subject likhne ka khayal aaya aur maine "Ek Naya Rishta" joki ek Sarogate Mother par aadharit thi ki story likhi.

Raj kiran iss film se pehle bhi meri film “Star” mein kaam kar chuka tha so iss film ke liye bhi maine Raj ko hi final kar liya tha magar Actress kaun layi jaye yeh ek samasya thi kyunki film toh kam budget ki banani thi , abhinetri ka role bhi ek call girl ka tha jo bahut hatkar tha phir socha ki kuch actress ki ek list banate hain aur unhe looks aur acting ke hisaab se 5 aur 4 star dene shuru kiye. list mein bahut saare naamo ko shamil kiya gaya aur unhe kirdaar ke hisab se aanka bhi gaya sabhi baato ko sochte hue jis actress ko 5 star diye gaye wo koi aur nahi Rekha hi thi.

Unka naam final hone par khayal aaya ye toh bhool hi jao ki hum unhe cast kar paaye kyunki uss samay wo bahut charchit Super star thi. Rekha ka naam final toh kar liya magar unhe cast kaise kiya jaye yeh apne aap mein mushkil tha aur aise mein casting ka kaam beech mein hi ruk gaya , bahut si nayi ladkiyon ka bhi screen test liya gaya magar kuch bhi jancha nahi. 

Phir ek din mere assistant Hasan kutti ne mujhse aakar kaha Sir agar aap kahen toh main Rekha ji se aapki iss film  ke liye baat karun?  Mujhe uski baat sun bahut hairaani hui , maine bhi bol diya haan- haan agar tum ye kar sakte ho toh zarur karo aur finally hasan ne hamari ek meeting fix kara di. milne ka din aa gaya aur hum Juhu ke ek bangle mein ja pahunche jahan par Rekha kisi film ki shooting kar rahi thi.


Do ghante ke lambe intzar ke baad main wahan se chal diya, aakar gaadi mein baitha hi tha ki hasan aur ek Aadmi bhagta hua aaya aur bola Rekha ji aapko bula rahi hain main wapas gaya aur dekha ki Rekha baithi hui lunch kar rahi thi, mujhe dekh wo boli maaf kijiyega mujhe mere staff ne nahi bataya ki aap aaye hue hain aur kaafi samay se intzar kar rahe hain, unke iss tarah se maafi maangne par main bhi yeh keh baitha ki koi baat nahi ek khoobsurat ladki ke liye sab maaf hai.

Film ki baat shuru karte hi unka pehla question tha ki film mein hero kaun hai? maine bataya ki Rekha ji film ke hero ke saath toh aap pehle bhi kaam kar chuki ho film ka hero koi aur nahi balki Raj Kiran hai, yeh sun wo boli Ohh Raj toh bahut accha actor hai but Vinod ji meri last film Basera mein woh mere bete ka role nibha chuka hai ! Maine kaha Rekha ji har film ki alag kahani alag kirdaar hote hain, aisa bol maine unhe film ke liye mana liya.

Rekha film ki shuruwaat se hi bahut involve ho gayi thi , wo apni har film ke department ki khabar rakhti thi, mere saath wo film ki location dekhne Alibag gayi.  Rekha discussion ke liye apne ghar par na milkar Mumbai ke Sea Rock Hotel mein apni secretary Farzana ke saath aati aur Film ki har choti baat par discuss karti.

Mujhe acche se yaad hai jab Khayaam Sahab film ka music bana rahe the toh Rekha hamare saath baithti aur gaane ki dhuno par baat karti. Unke itne interest lene par maine aur Khayyam sahab ne milkar unhe film ka ek geet gaane ke liye  razi kar liya tha jise unhone bahut bahkhubi nibhaya bhi.

 
Film ki location, music, dresses sabhi par baat karne ke baad jab bhi unse unki fees ke bare mein baat karna chahta wo hamesha taal jaati aur kehti hum kar lenge fix, but finally ek din maine kaha Rekha Now pls get serious , I must ask you ki Mujhe Rekha The Star ko kya pesh karna hoga? She replied seriously and said tell me what are you paying ? Maine bahut hi serious hokar kaha dekho mera ye maanna hai ki Rekha hamari iss indsutry ki sabse badhiya aur aalishaan Star hai, Rekha ka level wo hai jiska price lagaya hi nahi ja sakta, mere hisaab se Rekha ka price hona chahiye 50 Lakh , Yeh sun unka mooh khula reh gaya aur boli ye aap kya baat kar rahe hain? Maine kaha dekho mere hisaab se toh tumhara yahi price hona chahiye magar dikkat yeh hai ki meri iss chote budget ki film ko ye price toh milega nahi toh aise mein 50 lakh se ek zero hatani padegi, yeh sun wo bahut hasi aur finally mutual discussion ke baad unki fees fix ho gayi.

Kuch financial reasons ki wajah se film beech mein hi ruk gayi. Aur dubaara shuru karne mein ek lamba gap aa gaya magar hamara taalluk pehle ki tarah hi bana raha.

Rekha America se apna ek show karke jab wapas Mumbai aayi toh unse milne main Poonam hotel pahuncha, hotel ke entrance par hi unse mulakaat ho gayi maine kaha Kamaal hai aap wapas aa gayi, wo boli haan main kal hi wapas aayi hun , maine kaha yaar kuch zaruri baat poochni thi aapse, maine kaha bahut dino se hamari ek dost nahi mil rahi hain, wo bahar gayi hui thi , unhone kayi filmein bhi ki hai  unka naam Rekha hai. Wo kahin mili aapko?? Ye sun wo boli ki tum kabhi seedhi baat karoge ya nahi. Khair bolo kya karna hai maine kaha  shooting bachi hui hai use poora kar liya jaye toh accha hoga, aisa sun unhone apne busy schedule se mujhe dates di aur shooting poori ki.

Shooting ke dauran unse mera rishta bahut hi dostana ho gaya tha, main unse bahut mazak karta ,unhe cheda bhi karta tha, rozana unhe ek Gulaab diya karta , ek din gulaab nahi mila toh maine ek paper par Red color se ek dil banaya aur usme ek teer chubho diya aur likh diya ki aaj Gulaab nahi asli cheez le lo aaj mera dil le lo, Iss par wo bahut hasi aur boli tum nahi sudhroge.

Sach mein mujhe bahut garv tha ki main Rekha ko direct kar raha hun aur wo mujhe bilkul bhi pareshan nahi kar rahi hain, phir ek din shooting par jab 10:30 baj gaye sab meri hasi udane lage ki vinod ji bahut udd rahe the ab pata chala ki Rekha kya hai? Itne mein unki feyat car aati hui dikhayi di, car aakar ruki magar ye kya car mein wo nahi balki Ram tha jo uss samay unka saara kaam dekhta tha. Ram gaadi se utra aur bola sir aaj Rekha ji nahi aa payengi aaj unki tabiyat thodi kharab hai unhone ye kehne ke liye hi mujhe aapke paas bheja hai  aur unhone yeh bhi kaha hai ki woh kal jaldi aakar dono dino ka kaam poora karengi.

Yun toh Rekha shaam ke 6 baje ke baad kaam naa karne ke liye mashoor rahi hain lekin agle din Rekha ne raat 10:30 baje tak rukar apne dono dino ka  kaam poora kiya. Ek din sab jaldi ke mood mein the filmistan studio mein shooting thi , call time subah 9 baje ka fix hua magar madam subah 8:30 hi aa gayi. Sach mein Rekha ke saath kaam karna bahut hi yaadgaar raha saath hi saath mujhe iss baat ka bhi bahut malaal rahega ki maine unke saath sirf ek hi film ki hai.

 Bahut lambe samay baad Delhi ke airport par unse mulakaat hui, unhone mujhe peeche poke kiya aur boli Hi hru? and hows your daughter ? Ek baar toh yakeen hi nahi hua ki wo Rekha hi hai, Jeans T-shirt pehne hue, gaugle lagaye hue wo bahut hi Pyari aur khoobsurat lag rahi thi. Unka mizaz , unka andaaz bilkul bhi nahi badla. Sach Unse milkar saari yaadein taaza ho gayi. 

Undoubtedly Rekha is an Enigima, she is so loveable, so special and soo co-operative during the shooting, even she manage lots of things from her home for film. She has done a commendable work. I can only say that her sense of poetry, her sense of music and of course acting make her a distinct person.

People don’t know her human side , unke liye wo ek vulnerable hain , Unke andar chipi hui human side ko maine dekha hai, maine ek aam Aurat ko dekha hai unme jise unhone aaj tak sanjo kar rakha hua hai. Waise ek star ko banawati aawran bhi rakhna padta hai magar Rekha unme se nahi. Wo ek acche aur aam insaan ki tarah vulnerable bhi hain aur naye proyog karne aur seekhne ko hamesha aage rehne wali mahila bhi hain.


About Our Organisation:-

Main aapko aur aapki Sanstha ko Tahe dil bahut bahut Haardik shubhkaamnaye dena chahunga ki aap log ek aala star par kaam kar rahe hain. Jo naa sirf ek  bemisaal abhinetri hain balki ek behad khoobsurat inasaan bhi hain.


Dekhiye ghisa pita kaam toh bahut se log karte hain magar aap jo kar rahe hain wo apne aaap mein bahut hi alag aur khaas hai.  Jis tarah aapne iss sanstha ka naam "Rekha The Diva" rakha hai joki bahut hi suitable hai kyunki She is a Real Diva.

There are very few people in the world who deserve this Title and maintain throughout but she is one of them who maintain it till now.  Dear You are doing a good job and my heartiest wisher with you and your future projects.